Tuesday, 20 May 2014

wazood..!!

Aaj phir barish huyi. Aankh khuli to nazar thaher gayi...aaj mitti ka rang kuch jyada gehra tha...raat bhar shayad baarish ne sone na diya ho mati ko... Jaise seenchta raha ho tanhai ko...aur ab us tanhai ke beejon se khusboo ne janam liya ho...parinde bhi jaise mausam ke bashinde ho...apne pedo ki kotwali se nikal kuch alag hi sfurti se udd rahe the...aaj bhi kuch badla nahi hai...par jab tum hote the toh saath chalta tha gila asma kabhi tumhe bhigata...aur main tumhe bheegta dekh yun hi doob jata tha...ye parinde bhi ghar tak aate the ek tumse milne...yun to hatheli aaj bhi dhoop se bacha leti hai mujhe...par tumhare dupatte se mausam badal jaya karta tha...!!
                     Sahsa!! Teri yadon ke wazood ne jhanjhor diya.. Jaise hawa ka tej jhonka barish ke baad ped se takraya ho aur pattiyon  ki boonde meri aankho se gujri hon...tere hone se aangan me maykhana tha parindon ka aur tum gungunati sakibala ban nihara karti thi kabhi tumhare shagird parindo ko aur kabhi ek chhupi nazar jise maine pakad liya ho tumhari chori samajhkar...aaj bhi qaid hai antarman mein...
Yun to tumhare hi the ye mausam saare...titliyan tumhare aangan ke phoolon se hi kyun ishq farmati thi...tumhare hathon se bani wo kyariyan mitti ki ek nirantar nadi si bahti thi...aaj bhi mere zehn me bah rahi hain...
Tere chulhe se nikla dhuan asman me badal ban jata tha... Rakh tere aangan ki mitti ko aur sondha kar deti thi...chandan teri baton se jharta tha...ek sphatik masoom gulabi sangmarmar ka chehra...mera sabse mahnga baghicha tha... Teri masumiyat hi thi ki raste kabhi raste nahi manzil lagte the...
Chand bhi tere jharonkhe pe jugnu ban jata tha aur tab chamakta tha jab tumhari palkein jhapka karti thi...
Barish aaj bhi boondein hi barsati hai par tere na hone se mann bhigta nahi hai... Diwarein bhig jati hain...tere naam ki cheenkho ko sonkh leti hain... Teri yadon ka mnzar kisi qafile se kam nahi hai... Abhi bhi main, akelapan, dooriyan, chand, bag, sham, sath mein baith kar muskura lete hain tere baare mein sochkar...
Tere bistar pe ab bhi sirf teri silwat hi rahti hai jahan kabhi teri chhuan mahka deti thi aalam aur ahsas sare...
Abhi bhi chandi ka matlab bas teri payal hi hota hai
Diwaron pe abhi bhi aaine ko teri hi aadat jo ho gayi hai...
Abhi bhi sharab... Utni hi wafadar aur gahri hai... Kuch pal saath rahti hai bilkul tere fitoor se nikli ho jaise...
Par maykhana tere ghar se paas nszar aata hai...!!


No comments: