Chandan ki bana ke kalam rakht ki shyahi usme bharta hun...
Likhta hun nazm-e-noor...mitakar noorani se darta hun...
Dopahar ki chhalni karti dhoop saebaan dupatta chehre par...
Yun masoom nigahein saaki si Qufr gar dhoop padhe is chehre par...
Yuh behissab charha fir chaand jikra jab humne tera farmaya...
Ba-adab aa gira pyale mein jab noor se noor chand ka takraya...
Pahli nazar ka ishq batalak zindagi tak likhta hun...
Chandan ki bana ke kalam ishq ki shyahi usme bharta hun...
Ek khat me ranjhe maznoo ke alfazo se jyada likhta hun...
Yun nazm adhuri thi ab tak tu sargam bankar aayi hai...
Diwarein mitti thi ab tak tu chehra ban ubhar aayi hai...
Asar se isha tak tu ayat hai tu qalma hai tu chahat hai...
Tu keral hai kashmir bhi hai tu mirza hai tu sahib hai...
Panno par meri shyahi hai, shyahi se meri kavita hai...
Shaql hai mere shishe ki, tu raton ko meri silwat hai...
Mere ishq ki pahli rehbar hai, meri maszid ka ab tu rab hai...
Har katra mere mausam ka ab tere sapne likhta hai
Ab kitab kam aur bas teri nazron ko hi padhta hun...
Sahsa!! Aaj kuch likhta hun...
Chandan ki bana ke kalam munasib phoolo ka ras bharta hun...
Meri jeewant tq ke liye ek khat tere pate pe likhta hun
Meri aankho ko aadat hai kuch khud ba khud kah jane ki...
Tu padh le saare shabd mere, kar umra kam kuch meri peshani ki...
Tujh sang ek ghar ka khwab hai kuch, tujh sang ek mahfil dekhi hai
Tujh sang saawan ke rango ki aur tujh brij ki holi dekhi hai...
Palak khule ya band rahe kuch tere sapne dekhe hain...
Bas tu tham jara mujhko...fir har zarre me hi mele hain...
Wo padhta hai ghat mera faad deta hai
Tukde batora karta hun...
Aaj phir kuch likhta hun...
Chandan ki bana ke kalam sharab ki shyahi usme bharta hun...
Meri nabzon me jab chalti hai, tera har naqs mitati hai..
Jab seene me jal uthti hai teri tasveer jalati hai..
Jab aankho se pyala pita hun to surmayi saanjh ho jati hai..
Hai khush dil ki tu nahi hai ab, wafadar koi aur bhi hai...
Dosh mujhe ab kya koi de khud kalam sharabi kahti hai...
Main pyaale me jeeta rahta hun aur may mujhme jeeti rahti hai...
Aaj kuch likhta hun...
Chandan ki bana ke kalam!!