Wednesday, 27 September 2017

Tu Surya Hai...

Tu Surya Hai
Tu tej Hai
Tu urja ka strot Hai...


Ye manjilein
Ye raste
Tujhko nahi
Sabko mile
Tu chal Jara
Aage to badh
Tu ret par
pagchihn garh
Bekhauf tu
Paida hua
Toh bhay Abhi
Kis baat ka
Kokh se
Tu chal Raha
Aur mrityu
Tak tu jayega
To manan
Chintan hi kyun
...Jab athak
Chalna hi Hai
Aag se kyun
Dar Raha
Jab tujhe
Jalna hi Hai..
Tu ban
Udaharan
Jeet ka..
Tu jeet ja
Yah kalchakra..
Ya ban
Udaharan
Haar ka..
Aur jeet ki
Taiyari Kar
Tu bhool mat
Ekagra ban
Tu dhool ban
Chattan ban
Tu tham gaya
To Kya jiya
Tu ram gaya
To Kya jiya
Pul nadi par
Bhi kabhi
Aajivan
Tikte nahi
Toh Tere
Raste ki badha
kab talak
tik payegi
Tu thak gaya
Aaram Kar
Kal phir
Subah ek ayegi
Manav yahi
Vistar Hai
Sampoorn
Is brahmand ka
Jo Tha chala
Wah ban gaya
Itihas is
Sansar ka..
Tu pathik Tha
Janm se hi
Yatra tera
Kartavya Hai
Jeevan pariksha
Hai Teri
Kitna tu
Paripakva Hai
Garal tujhme
Rah Raha
Aur
Garal tujhme
Bah Raha
Tu som ki
Khwahish na Kar
Tere garhe
In rasto par
Lakhon
Karodo
Aayenge
Tere bagiche
Upvano mein
Yah bhi kabhi
Sustayenge..
Tu bhool mat
Tu ek pathik Hai
Margdarshak
...Hi pathik hai
Tu Surya Hai
Tu tej Hai
Tu urja ka
Strot Hai..

CHARACTER

In between the emotions lies the character. It is like the fossil, found between the layers of rock.
Defining a character should be an empirical study of the emotions a person is engulfed into.
But... The empirical study of pain, love, happiness, anger, etc is almost impossible. There is no scale to measure emotions so it is almost impossible to measure, what lies in between these so called emotions.
Agony, mirth, fear, revenge all are the children of some parent emotion. They are the reaction to some sound situation. And in these situations every person behave according to their will, experience, wit and most importantly according to the preoccupied bamboozling series of emotional tantrum.
           These presumptions leads to a very negative picture of someone's character or falsify the real character.
           Character can never be defined as it is an overcome of many factors. The study of individual's pchycology can only be interpreted but can not be cent percent verified and the same is true with character.