Wednesday, 27 September 2017

Tu Surya Hai...

Tu Surya Hai
Tu tej Hai
Tu urja ka strot Hai...


Ye manjilein
Ye raste
Tujhko nahi
Sabko mile
Tu chal Jara
Aage to badh
Tu ret par
pagchihn garh
Bekhauf tu
Paida hua
Toh bhay Abhi
Kis baat ka
Kokh se
Tu chal Raha
Aur mrityu
Tak tu jayega
To manan
Chintan hi kyun
...Jab athak
Chalna hi Hai
Aag se kyun
Dar Raha
Jab tujhe
Jalna hi Hai..
Tu ban
Udaharan
Jeet ka..
Tu jeet ja
Yah kalchakra..
Ya ban
Udaharan
Haar ka..
Aur jeet ki
Taiyari Kar
Tu bhool mat
Ekagra ban
Tu dhool ban
Chattan ban
Tu tham gaya
To Kya jiya
Tu ram gaya
To Kya jiya
Pul nadi par
Bhi kabhi
Aajivan
Tikte nahi
Toh Tere
Raste ki badha
kab talak
tik payegi
Tu thak gaya
Aaram Kar
Kal phir
Subah ek ayegi
Manav yahi
Vistar Hai
Sampoorn
Is brahmand ka
Jo Tha chala
Wah ban gaya
Itihas is
Sansar ka..
Tu pathik Tha
Janm se hi
Yatra tera
Kartavya Hai
Jeevan pariksha
Hai Teri
Kitna tu
Paripakva Hai
Garal tujhme
Rah Raha
Aur
Garal tujhme
Bah Raha
Tu som ki
Khwahish na Kar
Tere garhe
In rasto par
Lakhon
Karodo
Aayenge
Tere bagiche
Upvano mein
Yah bhi kabhi
Sustayenge..
Tu bhool mat
Tu ek pathik Hai
Margdarshak
...Hi pathik hai
Tu Surya Hai
Tu tej Hai
Tu urja ka
Strot Hai..

No comments: