Tuesday, 20 November 2018

BAUKHLAHAT

Yeh baukhlahat hi hai ki tu kuchh kabhi kahta nahi
Yah baukhlahat hi hai ki tu chup kabhi rahta nahi..

Vyadhi ki rekhayein kitni,  kitni dhariyan waqt ki....
Tere chehre ki dasha jo,          hai wahi sansaar ki..
Khich li itni lakiere        is paar ki kuchh us par ki...

Main nahi kahta ki yah nadiyan hai mere mulk ki...
Main nahi kahta ki yah jungle hai mere deshh ka..

Tu mahaj ab ek insaan,  insaan ki hi khaal
mein..
Bat gaya hai anginat,  anginat adhoore bhaag mein,

Ho gayi hai hadd siyasat ki,  jahan dekho wahan...
Chal rahe hai bhaag karte,  hai jahan jata wahan...

Main wahin maujood tha,  jab bat rahi thi chaukhatein..
Main wahin maujood tha jab,  cheekhti thin chaukhatein..

Haan naam mera waqt hai,  main kisi ka hun nahi...
Bat saka na main kisi mein,  hukumat mujhpar hai nahi...

No comments: